SEO kya hai ?
Hello Friends, aaj hum batayenge SEO kya hota hai aur apne website me SEO kyu karte hai. SEO ka full form hai search engine optimization. Aapke website ( blog ) par agar traffic nhi aata hai, toh hume apne website ka SEO karna padta hai. Read this post in English on 18/05/17Share this on Facebook
ya kisi bhi search engine ke results pages me humare site ko 1st page me lane ki process hi seo hota hai. Search engine ke results pages me humare site ki jo position hai use hum search ranking kehte hai, humari search ranking acchi hogi tabhi to logo ko humari website dikhegi aur site visit karenge. Isliye hume SEO karna jaroori hota hai. SEO karne se hume search traffic milta hai jisse hamari website par jyada visits Honge
SEO Help | SEO karne se kya fayda hai ?
Agar humare site par search traffic aata hai to ye fayada Hume SEO se milta hai. SEO karne par humare site ki value badh jaari hai.Agar aapne acchhe se SEO kar liya to aap aapna blog bana kar earning kar sakte hai.Seo seekh kar aap ghar baithe paise kama sakte hai.Aaj aise bahut se log hai jo SEO me aapna career bana chuke hai. Aayiye SEO me bare me vistaar se jaane.
SEO kya hai? SEO kaise kare :-
1. SEO ka kya matlab hai ?
SEO ka matlab (search engine optimization) hota hai.2. SEO kitne type ka hota hai?
SEO 2 Type ka hota hai.
1.ON-Page SEO2.OFF-Page SEO
ON-Page SEO :-
ON Page apne aap me ek bahut bada topic hai. ON Page ka matlab hai apni website ko Google search rules ke according banana.ON Page SEO me ham apni website ko edit karke use aisa banate hai ki Google use easily read kar sake aur user bhi website se jyada attract ho. Ab On page SEO me kya kya karte hai, ye ham aapko batate hai-1.Website speed :-
Agar aap ke site ki speed 1-10 second ha to bahut acha hai. Aur agar aap ke site ki speed 10 second se jyada ki hai to aapki site bahut kharab hai. Ise aapko fix kar Lena chahiye.
2. Title tag :-
Kisi bhi website ko first page par rank karane ke liye Title Tag ka bhut important role hai, Aapka Title jitna jyada optimize hoga utna hi jyada traffic benefit hoga.
3. Meta description :-
Meta description ka use karke ham Google ko batate hai ki hamari website kis subject par hai, jaise- blogging par hai ya news par hai etc.4. Hindden content :-
Aap ki website me koi hidden content nahi hona chahiye.Kai bar log acchi rank ke liye content page par dal dete hai lekin use hide kar dete hai jisse ki jab koi user site pe padhne aata hai to hide wala content nahi dekh pata.5. Image Alt Tag :-
Bhut sare log is bat ko nahi jante ki Google image ko read nahi kar pata. Google image me alt tag se ye pata karta hai ki ye image kis subject ki hai.
For example- Agar aapne Amir khan ki photo apni website par lagayi hai. lekin alt tag nahi dala to Google ko pata nahi chalega ki ye Image kiski hai lekin agar aapne alt tag me sharukh khan nam dala hai to Google samajh jayega ki ye image Amir khan ki hai.
Off Page SEO :-
Jab off page SEO ki bat karte hai to main focus aa jata hai Backlinks par. Backlinks ek tarah se website ko ek support dete hai. Jitne jyada quality backlinks honge utni jyada Google ki najar me aapki website ki image badegi. Aaiye samjhte hai Off page SEO me kya kya karna hota hai-
1.Search Engine Submission :-
Sabse pahale apni website ko Google, Yahoo, Altavista, Bing, uc news, etc. jaisi free website par submit karo.kyuki agar aapki site ye sab site par submit rahegi to aapko back link milega.
2.Facebook Page :-
Facebook aaj ki date me sabse badi social networking websites hai jaha karodo log ek dusre se jude hue hain. Aapki website ka promotion karne ke liye facebook sabse accha jariya hai. Apna ek facebook page banaye aur uspe apni post share kare. Is se aapki site ka traffic badhegi.
3.Use Google+ to Boost Organic Traffic :-
Google + ek bahut acha tarika hai apne site ko aage le jane ke liye. Aap Google+ par apna ek attractive profile banaye aur apne followers increase kare.
4.Use Twitter :-
Twitter bi aaj kal logo ka pasandida platform hai. Twitter par apne followers badhaye aur regular tweets kare.aur achi image bhi bheje.apne tweet par.isse apko backlink milega.
5.Participate in Question & Answers :-
Quora, Yahoo answer and other question answer jaisi websites par bhi participate kare. Logo se question kare, kuch logo ke question ka answer de aur answer me aap apni website ka link bi lagaye. Taki ve log aapke site par aaye.
Dosto ummeed hai Ab aapko SEO yani search engine optimization kya hai ye puri tarah samaj aa gya hoga. agar aapko ye post achi lage to jarur share kare.
0 comments:
Post a Comment